Group: alt.islam · Group Profile · Search for Sawaa in alt.islam
Author: Abdullah Muhammad
Date: Oct 11, 2006 04:55
Yaaran-e-meHfil, aadaab aaj baRee muddat ke baa'd aek nayee Ghazal ke saath HaaZ^ir-e-Khidmat howaa hooN ! ummeed hai k apnee aaraa aur tanqeed se nawaazeNge ! shukriya :) to lijiye Ghazal HaaZ^ir hai 1. woh kisee roz agar jalwa-numaa ho jaaye rashk-e-firdos mire dil ki faZ^aa ho jaaye ! 2. kis t^araH Thehre wahaaN qaafila-e-shauq , jahaaN dil dhaRakne ki Sadaa baaNg-e-daraa
|